top of page
syed ajmer sharif dargah

Ataye Rasool Salallahu Alehi Wasalam

Hazrat Syedna Khwaja Gharib Nawaz ( R.A ) Ke Khadim E Khaas  Hazrat Syedna Khwaja Fakhruddin Gardezi (RA)

Khuddam Ka Matlab  Khidmat Karne Waale Jese Awlaad Apne Maa Baap Ki Khidmat Karti Hai Toh  ye Sharf Har Kisi Ko Nahi Milta Hai ( Lafz Khadim ).

Khuddam Aur ( Khadim ) Ye Laqab Syedzadgan Ajmer Purey Khandan Har Ek Khadim Ki Pehchan Hai,  Apne Jadde Ala Hazrat  Syedna Khwaja Fakhruddin Gardezi Se Lekar Aajtak Syedzadgan Ajmer Sharif  Mai Lafz Khadim Ko Apna Turrey Imtiyaz Aur Juzw Naam banaya Hai.

Jin jadde aala ka zikr upar kiya gaya hai unki tafseel ye hai, Huzur Syedna Khwaja Gharib Nawaz   aur  Hazrat Syedna Khwaja Fakhruddin Gardezi  Hazrat Syedna Khwaja Usman Harooni se Baiyt thai, aur Syedna Khwaja Fakhruddin Gardezi Sarkar Syedna Khwaja Gharib Nawaz ke sath safar karke ajmer sharif  tashrif laye thai.

 

Ajmer Sharif mai daakhl hone se pehle khuch duri ke fasle per Huzur Syedna Khwaja Gharib Nawaz    ne uss jagah rehne ke liye Syedna Fakhruddin Gardezi  ko basti ki taraf ravana kiya ,  Hazrat Syedna Khwaja Gharib Nawaz ki hayate paak mai Syedna Fakhruddin Gardezi    ko khidmat aur langar ke intezaam o ehtmaam ka shrf haasil tha ,  Huzur Syedna Gharib Nawaz  ke wisaal ke 10 saal baad khadim e khaas Syedna Fakhruddin Gardezi aapka wisaal hua aapki umar us waqt 93 saal ki thi,

 

Tadfeen bhi aapki Huzur Syedna Gharib Nawaz  ke Mazare Mubarak ke paas hai, jisey tosha khana bolte hai ussi jagah per Khuddam hazrat astane aaliya ka neema , Ghilaaf deegar tabarukat rakhte hai’n Syedna Fakhruddin Gardezi     inka mazar issi toshey khaane mai hai ,

  

Huzur Syedna Gharib Nawaz  ke Gumbad Mubarak ki taamir Khilji Hukumat Ke waqt per hui  aur ussi waqt se  Khadime Khaas Syedna Fakhruddin Gardezi  unka mazar Gumbad Sharif aastana E Aalia ke Andar Hai,  jis tarah se Khadime Khaas Syedna Fakhruddin Gardezi  ko jo khidmat sharfe qubuliyat hasil thi Alhamdulillah aapke wisaal ke baad bhi aajtak aur ta qayamat tak  khuddame Khwaja iss khidmat ko karte rahenge Aameen

Syedna Fakhruddin Gardezi   aapka zikr Chishtiya Silsile ki kayi qutub aur deegar tazkiro mai mojud hai.

 

Kitaab Serul Arifeen  jo Ahde Saltanat Himayu mai 938 hijri 1531 isvi aur 942 hjri 1536 isvi ke darmiyan muratab hui jiske asal nuskhe mulk aur berune mulk ki alag alag libraries aur qutub khaano mai mehfuz hai , uss kitab mai likha hai ki,  Shaikh Khadim E Dasht Fakhruddin naam-e-uw- (Tarjuma) Aapke Khadim Thai Unka Naam Fakhruddin Tha. 

Ahde Jahangiri mai taalif karda tazkira (gulzar e abraar) mai likha hai  Shaikh Fakhruddin Ahmad Ajmeri ( R.A )       dar–khidmat–gaari–o–parastari-e-peer paya-e-bandagi daasht-O-sukhnaan-e-uw-ra-ba-jama-e-ibarat arasta-O-hamgi  zingani-e-khud-ra-digar-ba-ibadat-O-tan-guzari kard bood,  yaani  aapko peer ki khidmat guzari aur parastari mai darja e ghulami haasil tha aur peer ke nasihana kalaam ko Qalam  se likha karte thai, apni tamam zindagi, ibadat aur riyazat mai waqf kar rakhi thi.

Silsila e chishtiya ke tamam mashaikh ne khud ko apne peer o murshid ka khadim hi kaha hai , ye baat kaabile gaur talab hai syedna khwaja fakhuddin Gardezi Chishti ( ra) ko Syedna Khwaja Gharib Nawaz ( R.A) ke Khalifa aur peer bhai hone ka bhi sharf haasil hai magar kabhi aapne khadim ke lakab ke alawa koi deegar lakab khud ke liye istemaal nahi kiya,

 

aur aapne khadim -khwaja hone per hi fakhr kiya, jis tarah mashur sahabi hazrat abu ayyub (R.A) ansaari thai aur aajtak aapki aulaad fakhr o muhobbat ke tor per apne jadde buzurg ki uss nisbat ko zahir karti hai aur uss khandan ka har fard Ansari kehlata hai thik ussi tarah , hazrat khwaja syed Fakhruddin Gardezi Chishti (RA) ki aulaad khuddame khwaja kehlaati hai,

 

khwaja syed Fakhruddin ko qurb o sukhn ke saath saath ye martaba e izz o shrf bhi khidmat se haasil hua ki khud Syedna Khwaja Gharib Nawaz (R.A) apni zubaan e Mubarak se farmatey thai ‘फ़ख़्रुना बि-फ़ख़्रिद्दीन’,या’नी फ़ख़्रुद्दीन मेरा फ़ख़्र है। ( Fakhrna Bi Fakhruddin , yani Fakhruddin Mera Fakhr Hai ) aur ye bhi taaluk e khususi haasil hai ki Syedna Khwaja Gharib Nawaz ( R.A) ke badey sahebzaade ka naam bhi aapne apne Khadim e Khaas ki nisbat se Fakhuddin rakha , ye koi maamuli baat nahi ,

 

ye baat bahot gehre asraar ko apne andar somaye hue hai kyuki koi bhi shaks apne bete ka naam apne khadim ki nisbat se nahi rakhta , ye Hazrat Khwaja  Syed Fakhruddin Gardezi Chishti (ra) ka Syedna Khwaja Gharib Nawaz ( R.A) se wo khaas rishta hai , Pehla Rishta Khandani Bhai Ek Hi Khoon, Dusra Rishta Peer Bhai Aur sabse eham rishta ( Khadim e Khaas ) jiski koi misl nahi hai chohtha rishta khilafat ka. Huzur Syedna Khwaja Gharib Nawaz (R.A) ko bai inteha muhobbat thi apne khadime khaas Apne Bhai Syed Fakhruddin Gardezi ( ra) se ke aapne apne Pehle sahib zaade kaa naam ( Fakhruddin ) Rakha Ye Muhobbat Aur Ulfat Jiski koi misl nahi hai.

Khwaja Garib Nawaz Ke Khaas Khadem

spiritual head dargah ajmer, syed ajmer, khwaja moinuddin chishty

Hazrat Syedna Khwaja Fakhruddin Gardezi Chishti ( RA) ke 3 sahab zaade hue unke naam ye hai, Pehle Sahab zade Hazrat Syed Maulana Masood  (RA) dusre sahib zade Hazrat Syed Behlol (RA) Hazrat Syed Ibrahim (RA) Khuddam Hazrat  Ka Astana E Aalia Mai Tohfa Nazrana ( Nazurat ) lene ka haq haquq  (Shar’an) , (Kanooni) aur rasman Khuddam Hazrat Ka Hi Hai.

Ahde jahangiri se qabl panchayiti qawayid ke mutabik takseem kiya gaya tha mgar jahangiri musdka nakl e shahi farman ba tareekh 3 ramzan 1023 hijri ba mutabik 7, October 1614 iswi ko takseem e kul nuzurat ki wazahat mai ye tehreer hai Aulaade Behlol Jam’a e Kaseer Bud   A’nd  Az  Wasth , e sitam shariki ba anha hissa e  kam  e rasad yaani  Behlol Ki Aulaad Ziyada hogayi hai aur un logo ko hissa kam pohcne laga hai isliye baadshah Salamat ka hokum hua ki kul kindeel ki nuzurat ko ab  6 hisse mai takseem kiya jaaye.

 

jinmai se 4 hissey Aulaad Hazrat Khwaja Syed Fakhruddin Gardezi ( RA) ko haasil hue , jiski mazeed tafseel ye hai , Aulaad E Masood ke de’d ( One nd Half ) hissey ,    Aulaad E Behlol ke 2 hissey,  Aulaade Ibrahim ka adha hissa ( Half) , ye isliye kiya gaya ki aulaad e Ibrahim mai sirf 12 ashkaas hi mojud hai’n isliye unka nisf hissa ksrat e aulaad ke bayis aulaad e behlol ko diya gaya tha, 

 

isi farmaan e shahi mai’n tadaad bhi rakm hai jissey ye malum hota hai ki Aulaad e Syedna Khwaja Fakhruddn Gardezi ( RA) ke qul Afraad ki tadaad ahde Jahangiri Mai Yani 1023 hijri mai ( 172) thi jinmai aulad e masood ke ( 64) afraad,  aulaad e behlol ke (100) afraad aur aulaad e Ibrahim ke ( 12 ) afraadmojud thai.

www.syedajmersharif.com

Ahde Akbari mai Khuddame Khwaja ki jamaa’t aur us khandan mai hazrat Syed ( Shaikh ) daniyal urf Syed daan sahib.

Akbar baadshah jab 980 hijri mai ajmer aaye aur yaha se wapas jaane lage toh ek begam ko mosuf ke ghar rakhgaye isliye ki (jachgi) Baccha peda honey ka waqt karib tha,

 

2 jamadiul awwal ko Shahzada peda hua toh jis tarah Hazrat Saikh Saleem Chishti ke naam per Jahangir ka naam shahzada saleem rakha tha usi tarah hazrat syed shaikh daniyal urf syed daan sahib ke naam per uss nav mawlid ka naam shahzada daniyal rakha.  Hazrat syed shaikh daniyal ki azmat o shahzada salim ki wiladat ka waqiya taarikh ki qutub mai mojud hai khud baadshah Jahangir ne iss waqiye ko tuzk e jahangiri mai is tarah likha hai.

 

Tawwulud-e-u’dr ajmer da’r khan e yake az mujawareen-e-aastaana-e-mutbarka-e-Khwaja Buzurg-waar Khwaja Moinuddin Chishti ki shaikh daaniyal naam daasht waqu’e yaaft ba’a hama’a munaseebat mosum ba daniyal gasht ( tuzk-e-jahangiri farsi safa 16)

Uski yaani daniyal ki pedayish Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti ke aastane sharif ( Gumbad-e-Mazar-e-Mubarak) k eek Mujawir ( Khadim) shaikh daniyal naami ke ghar mai hui, isi munasibt se uska naam daniyal rakha gaya hai.

 ‘तव्वुलुद-ए-ऊ दर अजमेर दर ख़ान:ए यके अज़ मुजाविरान-ए-आस्ताना-ए-मुतबर्रका-ए-ख़्वाजा बुजु़र्ग-वार ख़्वाजा मुई’नुद्दीन चिश्ती कि शैख़ दानियाल नाम दाश्त वक़ूअ’ याफ़्त।ब-हमाँ मुनासिबत मौसूम ब-दानियाल गश्त’(तुज़्क-ए-जहाँगीरी फ़ारसी स16)

 

उसकी या’नी दानियाल की पैदाइश हज़रत ख़्वाजा मुई’नुद्दीन चिश्ती के आस्ताना शरीफ़ (गुंबद-ए-मज़ार-ए-मुबारक) के एक मुजाविर(ख़ादिम) शैख़ दानियाल नामी के घर में हुई।इसी मुनासबत से उस शहज़ादे का नाम दानियाल रखा गया।

Syed shaikh daniyal urf daan sahib (ra) ki nisbat tabkaat-e-akbari mai musanif nizamuddin ahmad likhte hai.

Az mashaike waqt dar slah-o-taqwa mumtaaz bu’d ( tabkate-e-akbari farsi jild daum safa 371)

Shaikh daniyal salahiyat aur parehzgaari- mai apne waqt ke mashaikh se mumtaaz hai’n.

 ‘अज़ मशाइख़-ए-वक़्त दर सलाह-ओ-तक़्वा मुमताज़ बूद’ (तबक़ात-ए-अकबरी फ़ारसी जिल्द दोउम स371)

शैख़ दानियाल सलाहियत और परहेज़-गारी में अपने वक़्त के मशाइख़ से मुमताज़ हैं।

 

Abul fazal      Akbar nama    mai likhte hai

Noor-e-salah-o-falah az naasiya-e-u mi taafat (akbar nama farsi jild daum safa 465 (अकबर-नामा फ़ारसी जिल्द दोउम स।465)

Salahiyat aur naiki ka noor shaikh daniyal ki peshani per chamakta tha.

 

Mulla abdul qadir badayuni apni kitaab mutkhbutwarikh mai likhte hai.

Shaikh daniyal naam-e-mujawir-e-saleh ( mutkhbutwarikh farsi jild daum safa 140)

Tarjuma, shaikh daniyal naami saleh mujawir ( Khadim-e-Khwaja Saheb Thai.
 

Motam’ad khan bakshi apni kitab Iqbal nama-e- jahangiri mai iss tarah zikr karte hai,

Ba-salah-e-zahiri-o-safa-e-baatini imtiyaz daasht ( Iqbal nama e jahangiri safa 244 )

Zahiri salahiyat aur baatini safa’i ki khubi rakhne ki wajah se imtiyaz rakhte thai.
shaikh daniyal syed daan sahib 994 hijri yani 1585/86 isvi mai wafat paayi.

Inki wafat ke baad kisi tarah uss haveli per syed aashiq kabiz hogaye thai iss wajah se farzandane syed ( shaikh) daaniyal syed daan sahib ne shikayat ki 1026 hijri mai jahangiri shahi farmaan saadir hua ki syed aashiq ko haveli se alehda krdiya jaaye aur syed mttha , syed abdul ghaus , syed tayyab aulade syed daan ka kabza bar kara rahe ( asaanidus’sanadid murttba maulana abdul baari maani sahib safa 215/ta 255

 

Ahade shahjahan mai ek shahi parwana ajmer ke suba daar meer shah ali ne muttasdiyo ke naam sadir kiya jismai aulad e syed shaik daaniyal syed daan ka mtrakka jinmai jayedad zamin o baagh jo qul 4000 hazar 600 -43 ( 4643) gaz 18 biswa zamin thi uska kismet nama ( taqseem nama ) jaari hua aur shaikh jafar muhommad kaazi aur nrhar daas kanungo ko suba daar ka hokum hua ki tum log khud jakar dargah sharif ke paas wale purane makanat ( haweli) aur baagh ki zamin me se aadha hissa syed abda ibre syed daan shaikh daaniyal o syed kamal ibre syed daan shaikh daniyal ki aulaad mai barabar taksim karo iss shahi parwane ki taamil mai sab hisse daar ki marzi se shr’a shari ke mutabik ye taksim hui thi, taaki koi tazad nah o .  iss shahi sanad mai dastakhat aulaad e syed shaik daniyal syed daan ke mojud hai jinmai ahde shahjahani ke buzurg syed mttha bin syed abda ke dastakhat iss tarah hai,  shaahid banna fihi fakir mthha . iss shahi sanad mai tarikh 14 ramzan 1056 hijri yaani 24 actober 1646 isvi markum hai.

( asaniddus’sanadid murttaba maulana abdul baari maani safa 196 ta 200) iss shahi sanad ki asal ajmer sharif mai hai

to be continue cooming soon 

bottom of page