IRSHADAAT "Farman E Garib Nawaz"
Hazrat Sayedna Gharib Nawaz (R.A)
Ahle ilmo danish aur awaamo khaas sab jaantey hai ki buzurgo ke aqwaal mukhtasar jumlo par mushtamal hai magar woh umar bhar ke tajurbaati mushadaat ka khulasa aur nichod hotey hai aur bilkhusus
Aulia Allah ke irshadaat to unki mukhtalif manaziley tarikat ka pata dete hai. zail mai Sarkare Syedna Khwaja Garib Nawaz (ra) ke wo irshadaat hai jo aapne mukhtalif aukaat mai apne murideen aur motakideen aur tamaam ki salaho falah keliye irshadaat farmaye hai aur bila shuba uss waqt ki tarah aaj bhi bai kamo qaast utne hi mufeed hai.
Arif ka adna kamaal ye hai ki wo mulko maal se bezaar hojaaye.
Ahle irfaan zikre ilahi ke siva apni zaban se koi baat nikaltey hi nahi.
Ishq ki rah esi hai ki jo iss raah par padjata hai uska naamo nishan tak nahi milta .
ahle ishq subah ki namaz padhkar jabtak aaftab na nikle ussi jagah musaley per beth kar ibadat mai masruf rehte hai.
Raahe suluk mai bohot se mard aajiz aur aajiz hogaye hai.
jab Allah ta'ala kisi ko apni raza dede toh woh bahisht ko kya karey.
dost ke asrar khubsurat hai aur khubsurat ashique ke dil mai hi ghar karte hai.
Dost ki dosti mai agar dono jaha bhi bakhsh diye jaaye toh bhi kam hai.
Arif woh hai jo raahe khuda mai khuda ke siva kissi aur ko na dekhe.
Arif ki khaslat muhobbat mai ikhlaas hai.
Arifo mai saadiq wo hai jiski milkiyat mai khuch na ho na woh kisi ki mil'k ho.
Gunah itna nukasaan nahi pohuchata jitna (Ummate Muslima) bhai ko zalil aur khawaar karna.
Arif aaftaab sifat hotey hai ki unn se tamaam aalam munnawar hota hai.
Jisko khuda dost rakhta hai uspar musibatey naazil karta hai.
Aey gaafil ! uss safar ka tosha tayar kar jo tujhe darpesh hai yaani safarey aakhirat ka.
Ahle muhobbat wo log hai jo sirf haq ta'ala ki baat sunte hai.
Dunya faani hai aur kaarhaye dunya layani.
Jabtak murshid ki tabyat haasil na hogi manzil par nahi pohuchega.
Khud parasti aur nafs parasti buth parasti hai jabtak khud parasti na chohrega khuda parasti haasil na hogi.
Arif ka kamtar darja ye hai ki sifaatey haq usmai paayi jaaye.
Ashiq woh hai jo dono jahan se dil uthaaley.
Jis nai khuda ko pehchan liya agar woh khalq se dur na bhaagey toh samjhlo usmai koi naimat nahi hai.
Qiyamat ke din agar bahisht mai koi cheez pohuchegi toh woh juhad hai hai na ki (sirf) ilmo amal.
Arif ka kamaal ye hai ki apne apne aap ko raahe khuda mai jaladey.
Arif ka ek nisha'n ye bhi hai ki woh har waqt musqurata rehta hai.
Koi shaks kisi ibadat se qurbe ilahi haasil nahi kar sakta ke jabtak namaz na padhe kyuki namaz hi merajul momineen hai.
Namaz qurbe ilaahi ka zeena hai.
Jo shaks subha ki namaz ke baad ishraq tak wahi beth kar ibadat karta hai, farishte uske liye aasman per dua karte hai.
Jis tarah subah ke waqt aaftab ki roshni badti jaati hai ussi tarah ishraaq padhne waalo ke liye Khuda ka noor badta jata hai.
Ishraaq ki namaz padhne waale shetaan ki shetaaniyat se mehfuz ehte hai aur jab tak wo bethe rehte hai ek farishta unki bakshish ke liye Khuda se dua manga karta hai.
Namaz ek ohda hai agar iss ohde se salamti ke sath bari'uz zimma hogaya toh nijaat hai, warna Khuda ki sharmindigi ki wajah se chehra saamne na hoga.
Sab gunaho se badkar ye gunah hai ki waqt per farz namaz na ada ki jaaye aur 2 farz ek waqt mai padhe jaaye.
Khudaaye azzowajal ne kisi ibadat ke baarey mai itni taakid nahi farmaayi jitni namaz ke liye.
Jaldi karo toba karne mai, maut aaney se pehle ! aur ujlat karo namaz ke waqt guzar jaane se pehle.
Agar namaz ke arkaan thik tor per ada na hue toh wo padhne waale ke mooh per maardi jaati hai.