top of page
syed ajmer sharif dargah

Muqqadas Taalimaat

Hazrat Sayedna Khwaja Gharib Nawaz (R.A)

Sultanul Hind Hazrat Syedna Khwaja Garib Nawaz (R.A)  nai apne akhlako atwaar, husnai kirdaar aur ilmi wa ruhaani tasnifaat ke alawa apne mureedo aur mo'atakido  ke sath nashisto mai sheerniye guftaar aur ilmi deeni jawahir rezo ke zariya jo tabligey deen wa tarwize sunnat ke ta'aluk se kaarahye numaayaanjaam diye hain woh taarikh ke safaat per chaand , suraj , aur sitaare ban kar aaj bhi ahle imaan ke dilo'n roshni wa ta'abnaki ata karahe hain,        aapki aisi hi chand tabligi nashiston ki guftugu aur kalimaate khair jinhe aam tor per " Malfuzaat " ke naam se jana jata hai.

Visit Our Official YouTube Channel: [Ajmer Sharif Official]

Aap ke aziz tareen mureed khalifa Hazrat Qutbuddin Bakhtyar Kaki (ra)   nai ik'kahta karke " Dalilul Areefin " naami kitab mai mehfuz kar diya hai , jiske mut'aley se pata chalta hai ki Sarakare Khwaja Garib Nawaz (R.A)  apna tabligi wa islahi mission kis khush uslubi ke sath pura kiya hai ,     Aap ke muqadas labo'n aur kalam ki nok par hamesha Quran , Haddees aur Khuda Ta'ala ka hi zikr hota aur masa'ailey shariya se logo ko agah farmatey rehtey, 

Uske alawa fuzul baato'n ka aapke yaha'n koi guzar na tha ,    Aap ke un malfuzaat ke muta'ala se aaj bhi darsey islah ka faiz jaari hai.

 (Dalilul Areefin)  mai Hazrat Qutbuddin Bakhtayar Kaki (ra) tahrir farmatey hai ki (paanchwe mah 514 hi)  ko Imam Abullais samarkandi (ra) ko masjid waqey bagdad sharif mai Huzur Hazrat Syedna Khwaja Garib Nawaz (R.A) ki kadambosi ka sharf iss Darvesh Nahif ko haasil hua aur fakir ko sharfey ba'yet se musharaf farmaya aur chahrtaraki  kulah mere sar per rakha. ( Falhamdulilalahi  Ala Zaalik )

Usdin us majlis mai Sheikh Shahabuddin Muhommad Suharwardi , Sheikh Dawood kirmaani, Sheikh Burhaan Muhommad Chishti, aur Sheikh Taajuddin Muhommad Safaani (ra) mojud thai aur namaz se muta'alik guftugu horahi thi.

 ( Namaz Qurbe Khudawandi ka Zariya )    Aapne Farmaya ki sirf namaaz hi aisi Ibadat hai jiske zariya log baargahe Rabbul Izzat se karib hosaktey hai isliye ki Namaz Momeen ki Meraaj hai jesa ki hadees sharif mai aya hai , (As'salato Merajul Momeen) ,,  Har maqam mai namaz hi se noor haasil hota hai  aur namaz hi bandey ko Khuda se milati hai,     Namaz ek raaz hai jo banda apne Khaliko Maalik se kehta hai,   Wohi Qurbe Ilaahi pasakta hai jo iss raaz ko raaz rakhne ke laayik ho aur ye raaz bhi namaaz ke siva kisi aur tarike se haasil nahi kiya jasakta hai,,                                                                               Hadees Sharif mai aya hai ki     (Almuslliyo Yunaji Rabbhu)    ya'ni  Namaz ada karney wala apne Rab se raaz bayan karta hai.

Ba wazu sone ke fawaid

Aapne farmaya ki jo shaks raat ko bawazu sota hai toh Farishto ko hukum hota hai ki jabtak wo bedaar na ho uske sirhaane khade hokar uske hak mai dua karte rahe ki ,,, Aey Rabbul Izzat  apne iss bandhe per apni rehmat naazil ferma ki ye  Naiki aur taharat ke sath soya hai.

Fir ussi mehfil mai irshaad farmaya ki Allah Rabbul izzat ka koi naik bandha agar bawazu sojaaye toh Farishte uski rooh ko arsh ke nichey lejaate hai jaha baargahe illahi se khilatey faakhira ata hota hai aur farishte ussey wapas le aatey hai , aur jo shaks betaharat sota hai uski rooh ko aasman se hi wapas bhejdiaya jata hai.

 

Daaye hath aur baaye hath ke kaam

 

Fir ek Haddes e paak bayan farmate hue irshaad farmaya ki Huzur Nabi Karim ( saw ) ka irshaad e giraami hai  alyaminu lilwajih walaysaru lilimqadi , yaani dahina hath mooh dhone aur khana khane ke liye hai  aur baya hath istinja ke liye hai

 

Masjid mai kese jaaye

 

Fir aapne farmaiya ki , aadmi jab Masjid mai daakhil ho toh  pehle apna Daahina paau Masjid mai rakhe  aur Masjid se bahar niklte waqt  baya paau pehle bahar nikaale yeh Huzur Nabi Kareem ( saw ) ki sunnat hai , Ek martaba Hazrat Sufyan sori  Masjid mai aaye aur bhul gaye pehle baya kadam  Masjid mai rakhdiya ussi waqt Gaib se awaaz aayi,,  (Sor Yaani Bail) Khaana e Khuda mai iss tarah beadabi se ghus ata hai, ussi roz se log aapko sufyan sori kehne lage.

Aarif Billah

 

Aapne farmaya Aarif uss shaks ko kehte hai jo tamam jahan ko jaanta ho aur apni akal se kisi cheez ke laako'n ma'ana bayan karsahkta ho,  Muhobbat ki ki tamam baarikiyo ka jawab desakta ho,  bharey muhobbat mai dubta aur ubharta rahe taaki asraare ilaahi wa anwaare Khudawandi ke moti nikal kar deedawar johariyo ko pesh karta rahe esa shaks beshaq Aarif Billah hai.

Fir farmaya Aarif wo hai jo har waqt ishq illahi mai mast rahe uth'te beth'te sotey jaagte har waqt apne parwardigaar ka zikr karta rahe lamha bhar bhi uss ki yaad se gaafil na ho har lamha Khaaliko Maalik ke hijaabe azmat ke girdh tawaf karta rahe .

Namaze Fajr ke baad Mussaley ( Ja'namaz ) per betha rahna

 

Ahle Ishk'o Maarifat Fajr ki Namaz Ada karke Aaftab tul'u  hone tak apni jayenamaz per hi beth kar Zikre Haq karta rahe  taaki ussey Allah ki baargah mai Qurbo maqbuliyat haasil ho aur anwaare Ilaahi ki tajalli un per lamha lamha barasti rahe! aise shaks ke liye ek farishte ko hukum hota hai ki woh jab tak mussale per se na uthe uske paas khada rehkar uss ke haq mai Allah se magfirat ki dua karta rahe..!

 

Iblees layin ki maayusi

 

Mazid irshaad farmaya ki, Hadrat Khwaja Junaid Baghdaadi ( ra) ne apni kitaab  ,, Umda ,, mai tehreer farmaya hai ki ek roz RasoolUllah ( saw ) ne ilblees layin ko bohot maayus aur gamgeen dekha toh aapne uss se iska sabab daryaft farmaya kiya kehne laga ki meri maayusi ranjo gum ka sabab aap ki ummat ke Chaar aamaal hai..

 ( 1 )Pehla yeh ki jo log Azaan sunkar uska jawab dene mai mashgul hote hai Allah Ta'ala un ke gunah bakhsh deta hai .

( 2 ) Dusra yeh ki jo log raahe Haq mai Naaraye takbeer lagakar maidaane jihad mai kud padte hai toh Allah Ta'ala un ghaaziyo ko balke unke ghodo tak ko bakhsh deta hai.

( 3 ) Teesra yeh ki jo log Rizke Halal per kana'at  karte hai ussi se khud khaate hai auro ko bhi khilaate hai toh Allah Ta'ala unke gunaah maaf kardeta hai.

( 4 ) Chotha yeh ki jo ashkaas namaze fajr ada karne ke baad apni jayenamaz  per beth ker zikre illahi mai mashgul rehte hai aur suraj nikalne per namaze ishraaq padkar apni jagah se hat'te hai toh Allah Ta'ala unhe aur unke rishte daaro ko bakhs deta hai .

Aareef ki manzil

 

Ussi moke per Sarkaare Khwaja Gharib Nawaz ( R.A ) ne Aareefaney Ilaahi se mutaalik irshaad farmaya ki Aareef ek kadam mai arsh se guzar kar hijaabe azmat se hote hue hijaabe Qibriya tak pohoch jaatey hai aur dusre hi kadam waha se wapas ajaate hai fir Sarkare Khwaja Gharib Nawaz ( R.A ) ne Aabdeeda hokar farmaya aarif ka sabse kamtar ye hai lekin mardaane kaamil ka darja Allah Ta'ala hi behtar jaanta hai ki woh kaha tak pohochte hai aur kab wapas aate hai.

 

Dusri Majlis

 

Gusule Jinabat

Hazrat Khwaja Qutbuddin Kaki (ra) bayan karte hai ki jummeraat ke din Sayedna Khwaja Gharib Nawaz ( R.A ) ki kadam bosi ki dolat naseeb hui , uss waqt jinabat ( wah napaki jis se gusul waajib hota hai ) se mutaalik guftugu horahi thi  Maulana Bahaudin Bukhari aur Maulana Shamshudin Muhommad Baghdadi ( ra) haazire khidmat thai  Syedna Khwaja Gharib Nawaz ( R.A ) ne zabane mubarak se farmaya ki  ,, insan ke har bal ke niche jinabat hai lihaza gusule jinabat tab hi mukamal hosakt hai jab badan ke har baal ki jad mai paani pohoch jaaye agar ek baal bhi khushk rehgaya toh Qayamat ke din wah baal usse jhagdega .

Junubi ka mooh aur pasina paak hai

 

Fir farmaya ,, Fatwa hai Zahriya ,, mai likha hua hai ki aadmi ka mooh paak rehta hai chunache junubi ( jo shaks halate jinabat mai ho jis bartan se paani piye wah napak nahi hota . isi tarah junubi mard ya hayiza aurat ka mooh napak nahi hota.

Fir farmaya  ek martaba RasoolUllah ( saw ) se ek Sahabi ne sawal kiya ya RasoolUllah  (saw ) agar kisi ko napaki ki halat mai ( bewajah garmai ) pasina ajaaye aur uss se uske kapde tar hojaaye toh kya woh kapde napak hojayege ?

Huzur nai irshad farmaya ,, Nahi ,, Sarkare Khwaja Gharib Nawaz ( R.A ) ki insaan ka thuk bhi paak hai agar kisi ke badan per ya kapde ko lagjaaye toh wo napak nahi hota .

Halal Gusul ka Ajr

Uske baad Sarkare Syedna Khwaja Gharib Nawaz ( R.A) ne farmaya ki mene apne Peero Murshid Hazrate Khwaja Usmane Harwani ( R.A) se suna hai ki jab Hazrat Adam ( A.S) Jannat se dunya mai aaye aur pehli baar gusul jinabat ki hajat hui toh Hazrat Jibreel ( A.S) ne haazire khidmat hokar arz kiya uth kar gusul kiyjiye , jab aapne gusul farmaya toh bahut farhato surur ka ehsaas hua fir aapne Jibreel (A.S) se poocha ki iss gusul ka khuch ajr bhi hai!  jawab mila ki iss gusul ke evaz aap ke jism ke har baal ke liye aap ko ek saal ki ibaadat ka sawab milega aur aap ke badan se girne waale paani ke har katre se ek Farishta peda farmayega jo roze Qyamat tak ibadat e  illahi baja lata rahega aur un tamam ibadato ka sawab aapko atta kiya jayega , issi tarah gusul ka sawab aapki aulaad ke liye bhi hai basharte ki woh Momeen ho aur unka gusul halal sohbat ke baad ho!

 

Haram Gusul Ka Wabaal

Jab Sarkare Syedna Khwaja Gharib Nawaz ( R.A) ne yeh baat ki toh aabdeeda hogaye aur farmaya ki jo shaks sohobate haram ( Zina ) ke baad gusul karega toh uske badan ke har baal ke badle ek saal ke gunah uske naamye amaal mai likhe jaayenge aur uske badan se tapakne waale paani ke har katre se Allah Ta'ala ek shaitan peda farmayega aur jo badhkam us shaitan se sarzad hongi woh uss shaks ke namaaye amaal mai likhe jaayenge !

 

Raahe Shariat Per Chalne Waalo ki Ibteda aur Inteha

 

Fir farmaya ki jo shaks shariat ke ahkaam ki puri paabandi karta hai woh tareekat ki manzil per pohoch jata hai

Aur agar woh Tareekat ke tamam shara;eet bhi puri karleta hai toh Maarifat ki manzil mai pohoch jata hai

Agar Maarifat ki raah per saabit qadmi se chalta hai toh martabaye Hakikat tak pohoch jata hai fir uski har aarzu puri hojaati hai

 

Namaz ek Amanat hai

Syedna Khwaja Gharib Nawaz ( R.A ) ne achanak apna mozue sukhan Namaz ki taraf fer diya aur farmaya ki Namaz ek amanat hai jo  Allah Ta'al ne apne bandho ke supurdh ki farmayi hai,  toh bandho per wajib hai ki amanat mai kisi kism ki khayanat na kare ! 

Fir irshaad farmaya ki insaan jab namaz adaa kare toh taadiley Arkaan mai kami na kare yaani ruku , sujud aur har rukun kama hakkahu baja laaye aur sahi tarike se namaz adaa kare !

 

Hukuke Namaz Ki Adayigi

Fir Syedna Khwaja Gharib Nawaz ( R.A) ne irshaad farmaya ki kitaab , Salaate Masudi , mai likha hai ki jo shaks namaz ka puri tarah hak ada karta hai  ( yaani waqt ki paabandi ke sath khushu, khuzu aur sahih tarike se namaz ada karta hai ) toh farishte uski namaz ko aasman ki bulandiyo per lejaate hai !  uss namaz se ek khaas kism ka noor peda hota hai , uss ke liye Aflaaq ke 100 darwaaze kholdiye jaate hai fir waha se uss namaz ko arsh ke karib lejaate hai  waha se woh Baargahe ezdi mai sajdarez hoti hai aur apne ada karne waale ke haq mai dua bakshish karti hai ! uske bar'aks jo shaks Namaz betawajuhi se ada karta hai uss ki Namaz uske mooh per maardi jaati hai aur kaha jata hai ki tu ne sab khuch zaya kardiya !..   Uss ke baad  aapne ek hadees bayan farmayi ki Sarware Konain ( SAW ) ne ek shaks ko iss tarah namaz padhte hue dekha ki ruku sujud sahi tarike nahi ada karahatha jab woh namaz se faarig hua toh Huzur Sarware Konain ( SAW ) ne pooch  aey shaks tu kabse iss tarah se namaz padhraha hai !...   uss ne jawab diya  Ya RasoolAllah ( SAW ) shuru se  ( yaani jabse namaz shuru ki issi tarah se padta hu )   Huzur Sarware Konain ( SAW ) ki aankhein punum hogayi aur aapne irshaad farmaya  ,, afsos ,, tu ne aaj tak khuch nahi kiya aur agar tu issi halat mai marjaaye toh meri sunnat per nahi marega !.. uske baad Khwaja Gharib Nawaz ( R.A ) ne farmaya ki  mai ne  Khwaja Usman Harwani ( R.A ) se suna hai ki Qiyamat ke din jo musalman namaz ki zimmedari se chuht gaya wahi baagahe illahi mai surkhrooh hoga warna jehanam ka edhan banega !...

Teachings Taalimat Garib Nawaz

bottom of page